khush hai yeh aasman
khush hai yeh zameen bhi
dil toh hai khush
par aankhon main hai nami si
khushi jhalke har chehre par
khushi chhalke har baat main
sab hi hain aas paas
phir kyun tum ho sirf yaad main?
hasi hase mere saath
khushi aankh michauli khele
naache khushi main dil
par tum bin adhure hai yeh mele
hairan hai koi
aur tareef hai har kahin
par jo baat sunni sirf tumse thi
woh jaane kho hi gayi kahin
tum hote toh mujh par bhi koi garv karta
tum hote toh sab jaane kaisa hota
bahut samjahaya baawre mann ko
par maan hi jaata toh kya 'mann' hota??
khush hoon ki kuch banaya tumne
kuch banna abhi baki hai
khush hoon ki udhna sikhaya tumne
par udhaan toh abhi baki hai
hawa ke har jhonke main tum lagte ho
baarish ki har boond main tum hi ho na?
bheedh main agar tanha hoon, toh saath lagte ho
mujhe udhte huey dekh toh rahe ho na?
No comments:
Post a Comment